Monday, March 26, 2012

Murjhaye sapne

Kuch Murjhaye sapne,
Kuch sookhe aansu,
kuch jaagi raate,
kuch kadwe sach,
sab baandhe hai ek thaile me, jo bahut bhaari ho chala hai, kabhi bhi fatt sakta hai,

Kuch purze bhi hai rakhhe, ik aaena ban sakta hai jinhe jod kar,
Magar himmat itni nahi ab, fas-e-aaena jo dikkhe, uska saamna kar sake,
So, jaisa hai waisa rehne dete hai,
Isi ko behtar maan kar,

Kuch aarzuuen bhi hai rakkhi,
Inhe poora karenge, socha hai, waqt saath dega to,
Na bhi ho to unki koshish ka hi jashn manaenge zaroor,
Jazba hai kaafi ho to behtar hai,

No comments:

Post a Comment