Monday, March 26, 2012

Bebasi

Naso me khoon bhi chhatpata raha hai,
Har ek sheh se naraaz hoon,
Ek goonge ki awaaz ke jaise khamoshi se haara hoon,
Andhere bulate hai mujhe,
Main itna aaj andhiyaara hoon,
Jigar ke liye dhadkan ki majboori ke jaisa,
bebas hoon,
bechaara hoon,

Aaine bhi hasne lage ab to,
Mere aks se alag dikhne laga hoon ab,
mujhe dhoondhne ka rasta,
Kisi shaks ne faada, uss nakshe me hii reh gaya,
ab khud bhi khoya hoon kabse,
banjaara hoon,
Bechara hoon,

Mere naseeb ka likha,
anpadh ek fakeer ne padha tha,
Mere liye dua ki thii usne,
ek taaveej bhi baandha tha ,
Koi izaafa halat me nazar nahi aata,
Usne kaha main khuda ko uss taveez se zyada pyaara hoon,
Bebas hoon,
Bechara hoon,

Toot ke kahi gir na jaaun kahi,
Iss zehan ko khwaabon ki ab manahii hai,
Sakht hidayat hai, kisi bhi rishte ki chahat se doori banaye rakhne ki,
Ehtiyaat bahut zaroori hai saare ye,
Iss bebasi ke mausam ko poori tarah se jeena hai agar, bin mare,

No comments:

Post a Comment