Tuesday, March 27, 2012

बदलाव

पहले नहीं गिना किये मैंने दिन के पहर कभीं,
आजकल ये क्या आदत बुरी लगी मुझे,

कब रोने का था बहाना मिला, याद नहीं पिछला,
अब बे-बात ये रोने की क्या लत लगी मुझे,

कुछ हो गया शायद मैं , एकदम से ही बदनसीब,
कुछ पिछले ही जन्मों की लेनदारी लगे मुझे,

लोग देखें जो मुझे जलें जातें हैं नादाँ,
आ कर कहीं देख ले ना, क्यां आतिश लगी मुझें,

जो आएं थे पहले दर्द अपने लियें , मुझसे मिले फिर आ के ,
शायद सुकून दिल को कुछ थोड़ा  मिले उन्हें ,

फिर उस ही की रहमत होगीं , फिर वहीँ वक्त बदलेगा ,
 थक हार के इक वो ही दर अंतिम दिखें मुझे,

Monday, March 26, 2012

Murjhaye sapne

Kuch Murjhaye sapne,
Kuch sookhe aansu,
kuch jaagi raate,
kuch kadwe sach,
sab baandhe hai ek thaile me, jo bahut bhaari ho chala hai, kabhi bhi fatt sakta hai,

Kuch purze bhi hai rakhhe, ik aaena ban sakta hai jinhe jod kar,
Magar himmat itni nahi ab, fas-e-aaena jo dikkhe, uska saamna kar sake,
So, jaisa hai waisa rehne dete hai,
Isi ko behtar maan kar,

Kuch aarzuuen bhi hai rakkhi,
Inhe poora karenge, socha hai, waqt saath dega to,
Na bhi ho to unki koshish ka hi jashn manaenge zaroor,
Jazba hai kaafi ho to behtar hai,

Khwahish

Jee karta hai main jee loon yeh duniya apne mutabik,
Har bandish, har rasm se chaloon beparwaah,
Dil fir neend se jaagey hai,
Aur zehan shaitaan ne, mujhe kathputli sa dikhaya sheeshe me fir se ,

Thi maine bhi kosii zindagi kaii baar ,
Guzra kiya main bhi mandir masjid ko andekha kar,
Usne lekin aaj, saari kamiyaan dikhayi mujh hi me,
Aur khuda zaalim ne, mujhe kathputli sa dikhaya sheeshe me fir se,

Tha jo seekhna chhoot gaya, meri parvarish me,
Duniya ke meley me, haste rote seekha,
Fir samjha jo, zara samajhdaar khud ko, thoker aisi lagi ki toot kar katra ho gaya,
Aur raah ke uss pathhar ne, mujhe kathputli sa dikhaya sheeshe me fir se,

Bebasi

Naso me khoon bhi chhatpata raha hai,
Har ek sheh se naraaz hoon,
Ek goonge ki awaaz ke jaise khamoshi se haara hoon,
Andhere bulate hai mujhe,
Main itna aaj andhiyaara hoon,
Jigar ke liye dhadkan ki majboori ke jaisa,
bebas hoon,
bechaara hoon,

Aaine bhi hasne lage ab to,
Mere aks se alag dikhne laga hoon ab,
mujhe dhoondhne ka rasta,
Kisi shaks ne faada, uss nakshe me hii reh gaya,
ab khud bhi khoya hoon kabse,
banjaara hoon,
Bechara hoon,

Mere naseeb ka likha,
anpadh ek fakeer ne padha tha,
Mere liye dua ki thii usne,
ek taaveej bhi baandha tha ,
Koi izaafa halat me nazar nahi aata,
Usne kaha main khuda ko uss taveez se zyada pyaara hoon,
Bebas hoon,
Bechara hoon,

Toot ke kahi gir na jaaun kahi,
Iss zehan ko khwaabon ki ab manahii hai,
Sakht hidayat hai, kisi bhi rishte ki chahat se doori banaye rakhne ki,
Ehtiyaat bahut zaroori hai saare ye,
Iss bebasi ke mausam ko poori tarah se jeena hai agar, bin mare,